Custom Search

Wednesday, April 11, 2007

Song 1: "Paryavaran Lokgeet"

Paryavaran ki thani
Suno Maiya Vasundhra Bhawani
Paryavaran ki thani.........

Ab na kabahu pedh kataihain
Ek ke badle das lagavaihain
Sanrakshan ke thani
Suno Maiya Vasundhra Bhawani

Vayu pradushan na Phelaihain
Udyogon ko door lagaihain
Suddhikaran ki thani
Suno Maiya Vasundhra Bhawani

Paryavaran ki thani
Suno Maiya Vasundhra Bhawani

Song 2: "Haritvahini"

Vraksharopan karya mahan,
Vraksharopan karya mahan,
Paryavaran me do yogdan,
Yah sankalp hamara hai,
Ye hi apna nara hai,
Vraksharopan karya mahan.

Nadiyon mein na ho ye pradushan,
Kahin na ho jal sankat re,
Nadiyon mein na ho ye pradushan,
Kahin na ho jal sankat re,
Jal ke apvyay ka ho nidan ,

{chorus}
Vraksharopan karya mahan,
Paryavaran me do yogdan,
Yah sankalp hamara hai,
Ye hi apna nara hai,
Vraksharopan karya mahan.

Kahin na ho ye vayupradushan,
Hum ye bida uthayenge,
Bina bat na horn bajayen,
Dhuan nahi phelayenge ,
Vayu shuddh banana hai,
Dheron pedh lagana hai.

{chorus}
Vraksharopan karya mahan,
Paryavaran me do yogdan,
Yah sankalp hamara hai,
Ye hi apna nara hai,
Vraksharopan karya mahan.

Oonch nich ki tod diwaren ,
Har jan ko samman miiley,
Bhed bhav ki mita diwaren,
Jeene ka adhikar miley,
Mansik pradushan mitana hai,
Dharm ekta lana hai.

{chorus}
Vraksharopan karya mahan,
Paryavaran me do yogdan,
Yah sankalp hamara hai,
Ye hi apna nara hai,
Vraksharopan karya mahan.



By
JYOTSNA