Custom Search

Friday, October 19, 2007

Song 3: "Janjagaran Geet"

Kabhi prakriti ki seva ki hi nahi,
Phir srishti mein aane se kya phayeda.
Kabhi stroton ka sanrakshan kiya hi nahi,
Phir manav kehlane se kya phayeda.

Main toh tat par gaya, jal pradushan dekha,
Iss pradushan ko dekh ke khayal aa gaya,
Jal ki shuddhi kabhi hamne ki hi nahi,
Jal yojana banane se kya phayeda.

{chorus}
Kabhi prakriti ..........................

Main tahalne gaya aur dhuain ko dekha,
Is pradushan ko dekh ke khayal aa gaya,
Kabhi vayu ki suddhi ki hi nahi,
Phir A.C. lagane se kya phayeda.

{chorus}
Kabhi prakriti ki seva ki hi nahi,
Phir srishti mein aane se kya phayeda.
Kabhi stroton ka sanrakshan kiya hi nahi,
Phir manav kehlane se kya phayeda.

No comments: